Friday, November 8, 2013

Superb poem

Ek bachpan ka 
zamana tha, 

jisme khushiyon ka 
khazana tha; 

chahat chand ko 
paane ki thi, 

par dil titli ka
deewana tha.

Khabar na thi
kuch subah ki,

na shaam ka
thikana tha;

thak haarke aana school se, par khelne bhi jaana tha.

Maa ki kahani thi,
pariyon ka fasana tha;
barish mein kagaz ki naav thi, har mausam suhana tha.

Har khel mein saathi the,
har rishta nibhana tha;
gum ki zuban na hoti thi,
na zakhmon ka paimana tha.

Rone ki wajah na thi,
na hansne ka bahana tha; kyon ho gaye hum itne bade, isse achha to
woh bachpan ka zamana tha...

0 comments:

Post a Comment

 
;